Thursday, 18 September 2014

हिन्द- एक महासागर

इस तलक महफूज़ रखे..
हुए है ये गुलिस्तां मुझे..
कहाँ जाना है कहाँ जा रहा हूँ..
इसकी सीमा में ना डर है मुझे..
ना वफ़ा का डर है न दगा का..
इससे बेशुमार मोहब्बत करने का गज़ब ही असर है..
ये चाहता नही है मुझसे कुछ भी सर्वेश..
स्वेच्छा से खुद को लुटाये जा रहा है..
अब कब तक मुझे इससे मोहब्बत ना होती..
ये हिन्दुस्तान जनम जन्मांतर से एक तरफ़ा प्यार निभाए जा रहा है..

बहुत से इसके अपने लांग गए सीमा..
उन्हें नींद नहीं आती, नशे में जुटे है..
कोई इसे छोड़ कर बुरा बता रहा है तो कोई पिछड़ा..
इस सबकी उपेक्षा कर ये हिन्द उनसे जुड़े जा रहा है..
जो एक बार छोड़ गया, दोबारा भी छोड़ जायेगा..
ये जानकार भी दामन फैला रखा है पुकारे जा रहा है..
ये चाहता नही है मुझे खुद से दूर सर्वेश..
हवा और समुद्र के भाव से घबराये जा रहा है..
अब कब तक मुझे इससे मोहब्बत ना होती..
ये हिन्दुस्तान जनम जन्मांतर से एक तरफ़ा प्यार निभाए जा रहा है..

हवाएं भी अब मुझे छूने से है डरती..
कहती है ये हिमालय का माँ जाया भाई हुआ है..
हिन्द ने विरासत में संस्कार और संस्कृति है दी..
बचपन से हिन्दुस्तानी कह कर अपना नाम दिए जा रहा है..
बलिदान न भुला योगदान न भुला..
भुला तो भुला बस अपनों की गदारी को भुला..
बड़पन तो देखो जो इसके अपने इसे बुरा कहते है..
ये उन्हें हर रोज अपनी मिटटी के गुण दिए जा रहा है..
अब कब तक मुझे इससे मोहब्बत ना होती..
ये हिन्दुस्तान जनम जन्मांतर से एक तरफ़ा प्यार निभाए जा रहा है..

हे हिन्द तेरा स्वयं को मारकर मुझे ज़िन्दगी देना..
कभी न भूलूंगा वादा है मेरा..
है वादा मेरा मेरी भारत माता..
जीऊंगा मरूँगा बस तिरंगे की खातिर..
में बीज हु तेरा, पानी तूने ही दिया है..
फ़सल बना तो तेरे लिए बनूँगा..
फ़सल कटा तो तेरे लिए काटूँगा..
अगर व्यर्थ गिरा..
तो वादा है मेरा, तेरी ज़मीन से परे ना गिरूँगा..

जय हिन्द!! जय हिन्द!!

आज़ाद सत्यज़ादा







 

Thursday, 28 August 2014

प्यास : एक संघर्ष

वो अलग शक्श था..
उसकी आँखों में प्यास नज़र आ रही थी..
पानी मिलेगा कुछ एसी आस नज़र आ रही थी..
एक बड़े दिल वाला उसे रोटी दे रहा था..
अब हाथो में रोटी थी पर ज़ेहन में प्यास..
जानता था प्यास भुझाने पर ही रोटी का आनंद उठा पाएगा..
दूर दरास एक मटका दिखा..
प्यास ने एक एक कदम को सहारा दिया..
किस्मत का फेर तो देखो..
मटका खाली और नीचे लिखा था प्यास भुजालो प्यारे..
प्यास ने मेहनती बना दिया ज़मीन खोदने लगा..
रुत सावन की थी, मेघ भरे थे पानी से..
कंठ सूखे थे संघर्ष के..
वो तीज का बादल बरस गया..
फैला लिए हाथ प्यासे ने..
एक एक बूंद गले से उतरकर आनंद दिला रही थी..
नमकीन लगी कुछ बूंदे..
आँखों के अम्बर से जो आ रही थी..
प्यास कभी नही भुजती है..
तो क्या, शांत पल के लिए हो जाये..
रोज मेघ कोन बरसाए..
अब तो नमकीन बूंद जानी पहचानी हो जाये..
तो शायद प्यास संघर्ष में खो जाये..


 

Tuesday, 27 May 2014

JURAT-E-ISHQ

Aakhiri mohabbat imtihaan kabhi bhi..
Pratham jo thehri..
Dil lagi se pucho..
Kya hai jawab kahi bhi..
Ya etbaar ko khojo..
Ishqzaade janame hai hum ishq karke jayenge..
Ho jurat to khatam kar dena humari jurat..
Hum Ishq nibha kar jayenge..

Humari kya himmat thi..
Haqeeqat khush kismat thi..
Alfaaz bhi bike the pyar ke hatho..
Uske sath zindagi bitane ke armaan zanjeero mein jade the..
Jaan par bane the mere uske vaade..
Ishqzaade janame hai hum ishq karke jayenge..
Ho jurat to khatam kar dena humari jurat..
Hum Ishq nibha kar jayenge..

Esa bhi lakeero ko kya rashaq hua..
Jo meri saanson se saanse nikalne ka prayatan hua..
Ab himmat-e-ishq ne bhi taraasha junoon ko..
Kiye vaado ki khaan mein khudayi jo ki..
To hawaon mein bhi ishq ishq hua..
Ishqzaade janame hai hum ishq karke jayenge..
Ho jurat to khatam kar dena humari jurat..
Hum Ishq nibha kar jayenge..

Palke bandh rehna chahti hai..
Aankhein drishya dekhna chahti hai..
Dono ki alag  mohabbat hai..
Pta nhi ye kismat kya chahti hai..
Benazeer ye hoth ab kya suljhaye ishq ko..
Ye guthi barso purani hai..
Thodi roohani thodi mange kurbani hai..
Hijr-e-Maut se parichit hai..
Par Fir bhi Jurat-e-ishq nibhane mein sayaani hai..
Ishqzaade janame hai hum ishq karke jayenge..
Ho jurat to khatam kar dena humari jurat..
Hum Ishq nibha kar jayenge..

PARINDAY HAI HUM KHULE ASMAAN KE..
BAS ISHQ ISHQ GAATE HAI..
HUMARE PAR KAAT DENA CHAHE..
HUM ISHQ NAAM SE UDAAN LAGATE HAI..
HUM ISHQ HAR HAAL MEIN NIBHATE HAI..

SATYAZADA
3/April/2014


Monday, 3 March 2014

DIL THAME BESAKHI HAI

Nhi jeena yaha is khudaar jamane mein..
Jaha dil ke bhi do chehre hote hai..
Unka to dil bhi bin pende ka lota hai..
Yaha hamare dil se diye pyar ka mul bhi nhi lota hai..
Humare to sapne bhi vahi todte hai..
Jinke khwabo mein hum aksar khote hai..
Bas Ishq se vishwas utha hai..
Or Dil thame besakhi hai..
Mein us ke liye sathi hu vo mere liye sathi hai..


Vo is asamjhas mein the hume dokha de ya na de..
Yaha dokha milega jante huye bhi dil hatheli par liye bethe the..
Unki ankhon se kuch pal neer behta tha..
Yaha dil kehta tha bas kuch pal hi rehta hai..
Fir bhi har bure waqt mein mein uska sath deta tha..
Chahe vo khushiyo mein mujhe bhul jaati thi..
Bas Ishq se vishwas utha hai..
Or Dil thame besakhi hai..
Mein us ke liye sathi hu vo mere liye sathi hai..


Jab jab palke jhapakti hai..
Uski yaad dil mein ghar hone lagti hai..
Jab kuch samjh na ata hai..
Dil dukhde gaane lagta hai..
Uske har paraaye pan ko..
Apne apnepan se tol lagane lagta hai..
Fir bhi unke liye dil se sirf fariyaad nikalti hai..
Kyun ki Sarvesh khudgarj ho kar na chalta hai..
Bas Ishq se vishwas utha hai..
Or Dil thame besakhi hai..
Mein us ke liye sathi hu vo mere liye sathi hai..


Bura q theraya meine us Ishwar ko..
Ye log aksar kehte hai..
Kya kahu mein dil haara..
Kya naseeb banane wale dilo se khela karte hai?
Kaha gaya tha vo Ishwar jab mera dil..
Wafa ke liye gid gida raha tha..
Vishwas tutne par jab maut se vaade nibha raha tha..
Jab uske sapne ronde ja rahe the..
Q bhagwan mere dil ke sapne kisi or ko dikha rahe the..
Par kisi ko aj bhi mein or mera dil kasoordar nhi theraenge..
Kyun ki jo bhi hare mein or mera dil haara..
To hum sambhal lenge ban kar ek duje ka sahara..
Bas Ishq se vishwas utha hai..
Or Dil thame besakhi hai..
Mein us ke liye sathi hu vo mere liye sathi hai..
                                                        
SATYAZADA

Thursday, 16 January 2014

EHSAAS

Raat andheri hoti hai..
Isme baat kya nayi hoti hai..
Chand ko to roj ana hai..
Sitaro ka tim timana hai..
Isme niyam kya naya hota hai..
Bus ek tere liye ehsaas roohani hota hai..
Fir kyun tujhko jismani lagta hai..
Jab bhi dil ke tal se koi baat nikalti hai..
Vahi baat kyo tujhko na falti hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki maala..
Mere tutte huye dil par chadayi jaati hai..
Mera dil tere dil ko yaad jab kar raha hota hai..
Barkhubi fikar ka janam hota hai..
Tera naam muraad banta hai..
Bas ye samay hi suli chadta hai..
Fir in aankhon se raha na jata hai..
Ye aansu bahane lagti hai..
Ye man ka bahav tujhe bachkani lagta hai..
Us fikar ko tu sirf jarurat batlati hai..
Mere pyar ko jutha sabit kar jati hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki maala..
Mere tutte huye dil par chadayi jaati hai..
Ye pyar tere dil ki adaalat mein hara diya jaata hai..
Is tutte huye dil ko mastishak dvara doshi theraya jaata hai..
Bas vo raat ka andhere hi ab kaam ata hai..
Ab aansu aankho se na behte hai..
Dil mein baad(flood) utapan hoti hai..
Sabse pehle mandir hi thikane lagte hai..
Sache pyar ko bhid mein khoja jata hai..
Dil ke kisi kone mein mrit(dead) paya jata hai..
Use usi kone mein dafnaya jata hai..
Kafan ke tor par teri yaad bichayi jaati hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki maala..
Mere Tutte huye dil par chadayi jaati hai..
Ab kahani mein koi naya mod na ata hai..
Har mastmola pyar ki maut par dukh jatane ata hai..
Tha to sacha par pyar ki kadr na samjhi jati hai..
Yahi keh kar har koi yaad ko gale se lagata hai..
Mera kafan bhi atithi bankar us bethak mein jata hai..
Jaha pyar na karne wale sharifo ka mela lagta hai..
Jaha pyar ke marne par charcha ki jaati hai..
Vishya se hat kar har koi pyar ko jismani or jhutha sabit krna chahta hai..
Kafan ka sabar tut uthata hai..
Vo ekjut bejod lalkaar lagata hai..
KHABARDAAR JO JHUTH KAHI..
BOL O TU HUR PARI..
TUNE KIS DIN PYAR NA SACHA PAYA THA..?
KIS RAAT KO TUNE USKA DIN BNAYA NA..?
KYA GINA USKI JAAGI RAATO KO..?
YA TOLA KABHI USKE EHSAASO KO..?
ITNE BEDARD HO GAYE TERE HATH..
KI HAR BAAR USKE EHSAASO KI MAALA..
US NIRDOSH TUTTE DIL PAR HI CHADHAYI JAATI HAI..
SATYAZADA

Tuesday, 29 October 2013

PYAR - A COMPLETE LOVE STORY

Behosh sa tha jab kehte suna tha..
Pyar kiya nhi jata ho jata h..
Sir uthaya to dekha ma pitaji mujhse pyar krte the..
Thoda sa unse pare hote hi..
Dil ghabra uthata tha..
Apne apko bhid mein khoya sa pata tha..
Rooh bna liya tha apne ma pitaji ko..
Kyunki jindagi bna rakha unhone apne betaji ko..
Unke pass ate hi..
Kismat  ko ese ma pitaji dene ke liye shukriya kehta tha..
Tabhi to mein kuch bhi bura hone par bhi yahi kehta tha..
Meri kismat bohot achi h..
Jo bhi hota h ache ke liye hota h..

Is nakabi dunia ne bohot se dost diye..
Kuch se dil jude or kuch se hum..
Us ek se dil kya juda..
Dil ne apna ghar hi badal liya..
Ek roj mujhse kehne laga SARVESH mein adhura hu..
Agar tujhe jinda rehna hai to mujhe pura kar de..
Uske dil se jode rakh nahi to teri maut aatmahatya hogi..
Meine dil se pucha ye kya keh raha hai tu..
To usne kaha meine kuch nhi kiya mujhe to ho gya h..
USSE PYAR..
Mera dil apni or sahi tha or uska pyar bhi sacha tha..
Kuch mein bhi bcha tha..
Mila diya unhe yahi soch kar..
Ki jo bhi hota hai acha hi hota hai..

Ma pitaji to parivaar the hi..
Use bhi dunia se chup kar parivaar ki sadasyata de di thi..
Mein janta tha dil or rooh ka ek hi parivaar hai..
Rooh to kismat ne esi di ki chahe kuch ho jaye..
Meri khushi ke liye mere dil ko apna hi legi..
Or kismat ne Dil bhi esa hi de diya ki..
Dil ne meri rooh ko apna maan liye..
Dunia wale naraj the..
Kyunki dunia ki nazar mein..
Ye adhure dil ko pura krne ka tarika galat tha..
Unka najariya tha pyar kr wane mein..
Par mujhe PYAAR ho gya tha..
Vo virod mein khade the ..
Mein bekasoor jhukna nhi chahta tha..
Ekant mein beth kismat ko kasoordaar thehra raha tha..
Is baar Ekant bhi meri dhun mein dhun mila raha tha..
Fir meine apne dil ko samjhaya..
Jo bhi hota hai ache ke liye hota hai..

Ab to Dunia ne hadd hi krdi..
Mere dil ko pura karne wale dil ko..
Kisi or dil se jodne ke liye usse jabardasti ki..
Mere dil ne mujhe uthaya meri rooh se milaya..
Or bola
UTH E KHUDAAR CHINLE APNA PYAR..
MAT HO KISMAT KE GHODE PAR SWAAR..
LAD LE AJ IS NAKABI DUNIA SE..
AJ SAMNE DAAV PAR HAI TERE DIL KA SACHA  PYAR..
Ab rooh ne mere pyar ko samjha..
Or diya mera sath..
Kaha beta samay laut kar nhi ata..
Baad mein pachtaega..
Agar tune kiya hai usse sacha pyar..
To kismat ko bhi hara paega..
Dil or rooh ke milan se..
Ab mein bhi Pura ho gya tha..
Lada dunia se or kiya apne dil ko pura..
Or samjh gya Jab khud mein ho dum tab nhi hota bura..
Kismat ko to ese hi shukriya kehta tha..
Acha  to hona hi hota hai..
Kyunki jo bhi hota hai acha hi hota hai..
                                                                    
SATYAZADA

Monday, 7 October 2013

UMEED


Choti si nanhi si jaan..
Jab shuruvati padav se umeed lagane lagti hai..
Jab har choti si jid par..
Jo chaha vo pane lagti hai..
Tab chaht ka pitara bharta hai..
Umeed puri karne wale se..
Ek rista judane lagta hai..
Mann masti ka jhula jhulta hai..
Par tabhi samay ka pahiya ghumta hai..
Jin palo ko jindagi samjhta hai..
Unhe kho dene ka ehsaas achanak hota hai..
Bas yaad sahara rehti hai..
Dil ki tadap un palo ki sifarish karti hai..
Ekant mein beth un palo ko batlata hai..
Apne Kache se dil ko umeed jagata hai..
Sochta hai samay par vijay pa lega..
Fir unhi palo ko apna lega..
Prakrati ke samay ke niyam se ladayi maul leta hai..
Or jeetne ki umeed jagata hai..
Jab umeed ka pyala bharta hai..
Har pryas vifal ho chalta hai..
Tab kimti moti bhehte hai..
Chinta bhi saheli banti hai..
Samay fir se khel khelta hai..
Har pal ka vajud samjhata hai..
Jata jata har pal ko unhi palo ki bhanti jine ki seekh de jata hai..
Kamyabi ko jindagi ka maksad btata hai..

Dekha dekhi se Kamyab hone ki..
Or kamyabi ko jindagi ka maksad samjh kar..
Dil kamyab hone ki umeed jagata hai..
Atoot pryas krne par or subhchintako ki sahayta se..
Kamyabi ko apne samksh pata hai..
Par kisi ke btaye maksad ko pane se..
Chinta se picha na chuda pata hai..
Or na hi khushi se dil mila pata hai..
Dar dar ki thokre khata hai..
To Kabiliyat ka darwaja khad khadata hai..
Kabiliyat kabil banana ki umeed jagati hai..
Or apni chaht ko apna maksad banane ki salah de jaati hai..
Chaht ko pane ke liye..
Pryas par pryas karne lagta hai..
Gir gir kar uthane lagta hai..
Haar shabad ko umeed se harata hai..
Or apni chaht ko is kadar chahta hai..
Apne ap ko kabil or kabiliyat ko apna humsafar pata hai..
Chinta ki chita banata hai..
Or khushi ko gut se gale lagata hai..
Apni umeed ko pura dekh..
Us har pal ko jita hai..
Kabiliyat ko kamyabi par vijayi sabit karta hai..


UMEED KISI NIYAM SE BANDHI NHI..
JO UMEED SE JITA HAI..
VAHI JITA HAI..

SATYAZADA