Tuesday, 29 October 2013

PYAR - A COMPLETE LOVE STORY

Behosh sa tha jab kehte suna tha..
Pyar kiya nhi jata ho jata h..
Sir uthaya to dekha ma pitaji mujhse pyar krte the..
Thoda sa unse pare hote hi..
Dil ghabra uthata tha..
Apne apko bhid mein khoya sa pata tha..
Rooh bna liya tha apne ma pitaji ko..
Kyunki jindagi bna rakha unhone apne betaji ko..
Unke pass ate hi..
Kismat  ko ese ma pitaji dene ke liye shukriya kehta tha..
Tabhi to mein kuch bhi bura hone par bhi yahi kehta tha..
Meri kismat bohot achi h..
Jo bhi hota h ache ke liye hota h..

Is nakabi dunia ne bohot se dost diye..
Kuch se dil jude or kuch se hum..
Us ek se dil kya juda..
Dil ne apna ghar hi badal liya..
Ek roj mujhse kehne laga SARVESH mein adhura hu..
Agar tujhe jinda rehna hai to mujhe pura kar de..
Uske dil se jode rakh nahi to teri maut aatmahatya hogi..
Meine dil se pucha ye kya keh raha hai tu..
To usne kaha meine kuch nhi kiya mujhe to ho gya h..
USSE PYAR..
Mera dil apni or sahi tha or uska pyar bhi sacha tha..
Kuch mein bhi bcha tha..
Mila diya unhe yahi soch kar..
Ki jo bhi hota hai acha hi hota hai..

Ma pitaji to parivaar the hi..
Use bhi dunia se chup kar parivaar ki sadasyata de di thi..
Mein janta tha dil or rooh ka ek hi parivaar hai..
Rooh to kismat ne esi di ki chahe kuch ho jaye..
Meri khushi ke liye mere dil ko apna hi legi..
Or kismat ne Dil bhi esa hi de diya ki..
Dil ne meri rooh ko apna maan liye..
Dunia wale naraj the..
Kyunki dunia ki nazar mein..
Ye adhure dil ko pura krne ka tarika galat tha..
Unka najariya tha pyar kr wane mein..
Par mujhe PYAAR ho gya tha..
Vo virod mein khade the ..
Mein bekasoor jhukna nhi chahta tha..
Ekant mein beth kismat ko kasoordaar thehra raha tha..
Is baar Ekant bhi meri dhun mein dhun mila raha tha..
Fir meine apne dil ko samjhaya..
Jo bhi hota hai ache ke liye hota hai..

Ab to Dunia ne hadd hi krdi..
Mere dil ko pura karne wale dil ko..
Kisi or dil se jodne ke liye usse jabardasti ki..
Mere dil ne mujhe uthaya meri rooh se milaya..
Or bola
UTH E KHUDAAR CHINLE APNA PYAR..
MAT HO KISMAT KE GHODE PAR SWAAR..
LAD LE AJ IS NAKABI DUNIA SE..
AJ SAMNE DAAV PAR HAI TERE DIL KA SACHA  PYAR..
Ab rooh ne mere pyar ko samjha..
Or diya mera sath..
Kaha beta samay laut kar nhi ata..
Baad mein pachtaega..
Agar tune kiya hai usse sacha pyar..
To kismat ko bhi hara paega..
Dil or rooh ke milan se..
Ab mein bhi Pura ho gya tha..
Lada dunia se or kiya apne dil ko pura..
Or samjh gya Jab khud mein ho dum tab nhi hota bura..
Kismat ko to ese hi shukriya kehta tha..
Acha  to hona hi hota hai..
Kyunki jo bhi hota hai acha hi hota hai..
                                                                    
SATYAZADA

Monday, 7 October 2013

UMEED


Choti si nanhi si jaan..
Jab shuruvati padav se umeed lagane lagti hai..
Jab har choti si jid par..
Jo chaha vo pane lagti hai..
Tab chaht ka pitara bharta hai..
Umeed puri karne wale se..
Ek rista judane lagta hai..
Mann masti ka jhula jhulta hai..
Par tabhi samay ka pahiya ghumta hai..
Jin palo ko jindagi samjhta hai..
Unhe kho dene ka ehsaas achanak hota hai..
Bas yaad sahara rehti hai..
Dil ki tadap un palo ki sifarish karti hai..
Ekant mein beth un palo ko batlata hai..
Apne Kache se dil ko umeed jagata hai..
Sochta hai samay par vijay pa lega..
Fir unhi palo ko apna lega..
Prakrati ke samay ke niyam se ladayi maul leta hai..
Or jeetne ki umeed jagata hai..
Jab umeed ka pyala bharta hai..
Har pryas vifal ho chalta hai..
Tab kimti moti bhehte hai..
Chinta bhi saheli banti hai..
Samay fir se khel khelta hai..
Har pal ka vajud samjhata hai..
Jata jata har pal ko unhi palo ki bhanti jine ki seekh de jata hai..
Kamyabi ko jindagi ka maksad btata hai..

Dekha dekhi se Kamyab hone ki..
Or kamyabi ko jindagi ka maksad samjh kar..
Dil kamyab hone ki umeed jagata hai..
Atoot pryas krne par or subhchintako ki sahayta se..
Kamyabi ko apne samksh pata hai..
Par kisi ke btaye maksad ko pane se..
Chinta se picha na chuda pata hai..
Or na hi khushi se dil mila pata hai..
Dar dar ki thokre khata hai..
To Kabiliyat ka darwaja khad khadata hai..
Kabiliyat kabil banana ki umeed jagati hai..
Or apni chaht ko apna maksad banane ki salah de jaati hai..
Chaht ko pane ke liye..
Pryas par pryas karne lagta hai..
Gir gir kar uthane lagta hai..
Haar shabad ko umeed se harata hai..
Or apni chaht ko is kadar chahta hai..
Apne ap ko kabil or kabiliyat ko apna humsafar pata hai..
Chinta ki chita banata hai..
Or khushi ko gut se gale lagata hai..
Apni umeed ko pura dekh..
Us har pal ko jita hai..
Kabiliyat ko kamyabi par vijayi sabit karta hai..


UMEED KISI NIYAM SE BANDHI NHI..
JO UMEED SE JITA HAI..
VAHI JITA HAI..

SATYAZADA

Tuesday, 24 September 2013

LACHAAR BHARAT MA

Aj Aankhein nam hai Bharat ma ki..
Apne in beto ko dekh..
Sochti hogi ki kyun meine inko janam diya..
Akhir kyun apni betiyon ki zindagi ko tbha hone diya..
Puch rahi thi mujhse mere swapan mein aakar..
Kya SARVESH tujhe or tere yuva bhaiyo ko dukh nhin ho raha..

Apni ma ki aankho mein aanshu dekh mein ro padha..
Aankhein jhuki or apni hi MA ke age sharminda ho gaya..
Apni MA se najare milane ka sahas ab mujhse na ho raha..

Meri is dasha ko dekh..
MA ne mujhe gale se laga liya..
Insaniyat aur sachai ka sath dene ka wada lete hue..
Vo mere swapan se ojhal ho gayi..

Is swapan ke khulte hi mein kalam utha kr beth gaya..
MA ke is dard ko dekh aj ke yuva pr kalam prahar krne ko chla..

Sharam aati h mujhe ki meine ese yug mein janam hai liya..
Jaha ijat na hai ma,bhen,beti ki..
Jaha rishto ko bhulaya jata hai..
Pehle to brun hatya..
Aur ab ye balatkaar..
Us desh mein ye dasha hai ladkiyon ki..
Jaha kanchaka bithaya jata hai..
Kalam thirakti h meri ye likhate hue..
Kyun unke hath na kamp kampaye..

Aj ke yuva ki dasha to shabado mein bya hoti nhin..
Kyunki is dasha ke varnan ko to meri kalam bhi nakarti h..
Ye vahi desh hai jaha kuch bura hone par yuva ke dilo mein aag jhalakti thi..
Aj ke yuva ke to hotho pr cigarette pine ki agg jhalakti hai..
Ye vahi desh hai jaha stri ko puja jata hai..
Par aj ka yuva usi stri ke sath dushkram krne se bilkul nhin ghabrata hai..

Aj ka yuva to bda hi sandigad hai..
Sanskar se jada nashe mein lipt hai..
Apne ma baap ki ijat krna bhul gaya hai..
Ye sab krke apne apko tees maar khan samjhta hai..
Apne ap ko yaaro ka yaar dildaar btata hai..
Sach pucho to iski biradari mein jaanwar bhi nhin ata hai..

Havaniyat krke dusro ki jindagi tbha kar..
Fir ek din apne ap ko dharamik therata hai..
Din br din jhooth ka sath dekar..
Apne apko mitti mein milata hai..
Apne ma baap ki seva krna to dur..
Unke sanskaro ko sans sans par thukrata hai..

Aj ke yuva ko mein kuch sandesh dena chahta hu..
Apne ap se aj rubaru krvana chahta hu..
Jaise jeene ke liye saans lena h jaruri..
Vaise hi jindagi jeene ke liye sanskar hai jaruri..
Jis ma ke kokh se janam liya,pita ki ungli pakad kr chalna sikha..
Unki ijat krna or seva krna hai jaruri..
Ma,bhen,beti jo gehna hai is desh ka..
Unka maan samaan krna tera pram dharam hai..
Is havaniyat ko badal insaniyat mein..
Ek baar sach ko jhooth pr vijay paane to de..
Ek baar risto ko ehmiyat dekar to dekh..
Ek baar insaan bnkar to dekh..
Sach mein tujhe maja ayega..
Ha tujhe jindagi jeene mein maja ayega..

SATYAZADA

Saturday, 21 September 2013

EKANT (LONELINESS)

Laga jaise raat ki tanhai mein bas ek ujala hi na tha..
Irdh girdh jhanka to paya kuch bhi nhin..
Khoja jab dil ki gharayi mein..
Sirf ekant ko paya ek maatr sahara..
Ye ekant mujhe ghere hue tha..
Sawalon ki mala mein puroye ja raha tha..
Har anokhe jawab ki pratiksha mein ekant..
Mujhse jindagi ka mool janana chahta tha..
Mere uttar par jab prashan uthane laga vo..
Mere laachar dil par jaise satya ke baan chalane laga vo..
Ban kar jab vo mera hamdard khada tha..
To kyun ghut ghut kar rone ko dil chah raha tha..
Akhir aansu bhi ekant ne hi ponche..
Fir bhi kyun usi ko kasurdar thehra raha tha..

Aj E-Ekant tujhse picha chudane ki itni hai chah..
Ki insaan rachit chakravyuh mein fasna chahta hu..
Par mein galti ka putla har haar ke baad..
Sirf tujhe hi apna sahara pata hu..
Pehle to ban ke swarthi or dikhawati..
Khushi mein tujhe bhul,gum mein tere sang rota chahta hu..
Dil ke armaan baha kar phir se..
Tujhe hi kasurdar therata hu..

E-Ekant aankhein khuli mein tu hi to mujhe sapne dikhata h..
Tu hi to hai jo mujhe khud se rubaru krvata h..
Tu hi ik lota jisse dil ki khul ke btata hu..
Sab ke chod dene ke bad tere pass hi khincha chla ata hu
Or fir bhi tujhe hi kasurdar therata hu..

Tere bin ek Lekhak ka Lekh Likha nhi jata..
Ek Kavi ki Kavita rachi nhi jati..
Jab tak vo tujhe apne samaksh nhi pata..
Apne hunar  ko samjh nhi pata..
Tu uski soch ko gehra hai karta..
Fir bhi vo tujhko gum rah therata..

Ye ekant kewal kore kagaj par likha shabad nhin..
Ye kahi to tera ant hai insaan..
Kahi hai ye haare ka sahara..

SATYAZADA