Thursday, 16 January 2014

EHSAAS

Raat andheri hoti hai..
Isme baat kya nayi hoti hai..
Chand ko to roj ana hai..
Sitaro ka tim timana hai..
Isme niyam kya naya hota hai..
Bus ek tere liye ehsaas roohani hota hai..
Fir kyun tujhko jismani lagta hai..
Jab bhi dil ke tal se koi baat nikalti hai..
Vahi baat kyo tujhko na falti hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki maala..
Mere tutte huye dil par chadayi jaati hai..
Mera dil tere dil ko yaad jab kar raha hota hai..
Barkhubi fikar ka janam hota hai..
Tera naam muraad banta hai..
Bas ye samay hi suli chadta hai..
Fir in aankhon se raha na jata hai..
Ye aansu bahane lagti hai..
Ye man ka bahav tujhe bachkani lagta hai..
Us fikar ko tu sirf jarurat batlati hai..
Mere pyar ko jutha sabit kar jati hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki maala..
Mere tutte huye dil par chadayi jaati hai..
Ye pyar tere dil ki adaalat mein hara diya jaata hai..
Is tutte huye dil ko mastishak dvara doshi theraya jaata hai..
Bas vo raat ka andhere hi ab kaam ata hai..
Ab aansu aankho se na behte hai..
Dil mein baad(flood) utapan hoti hai..
Sabse pehle mandir hi thikane lagte hai..
Sache pyar ko bhid mein khoja jata hai..
Dil ke kisi kone mein mrit(dead) paya jata hai..
Use usi kone mein dafnaya jata hai..
Kafan ke tor par teri yaad bichayi jaati hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki maala..
Mere Tutte huye dil par chadayi jaati hai..
Ab kahani mein koi naya mod na ata hai..
Har mastmola pyar ki maut par dukh jatane ata hai..
Tha to sacha par pyar ki kadr na samjhi jati hai..
Yahi keh kar har koi yaad ko gale se lagata hai..
Mera kafan bhi atithi bankar us bethak mein jata hai..
Jaha pyar na karne wale sharifo ka mela lagta hai..
Jaha pyar ke marne par charcha ki jaati hai..
Vishya se hat kar har koi pyar ko jismani or jhutha sabit krna chahta hai..
Kafan ka sabar tut uthata hai..
Vo ekjut bejod lalkaar lagata hai..
KHABARDAAR JO JHUTH KAHI..
BOL O TU HUR PARI..
TUNE KIS DIN PYAR NA SACHA PAYA THA..?
KIS RAAT KO TUNE USKA DIN BNAYA NA..?
KYA GINA USKI JAAGI RAATO KO..?
YA TOLA KABHI USKE EHSAASO KO..?
ITNE BEDARD HO GAYE TERE HATH..
KI HAR BAAR USKE EHSAASO KI MAALA..
US NIRDOSH TUTTE DIL PAR HI CHADHAYI JAATI HAI..
SATYAZADA