Raat andheri hoti hai..
Isme baat kya nayi hoti hai..
Chand ko to roj ana hai..
Sitaro ka tim timana hai..
Isme niyam kya naya hota hai..
Bus ek tere liye ehsaas roohani hota
hai..
Fir kyun tujhko jismani lagta hai..
Jab bhi dil ke tal se koi baat nikalti
hai..
Vahi baat kyo tujhko na falti hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki
maala..
Mere tutte huye dil par chadayi jaati
hai..
Mera dil tere dil ko yaad jab kar
raha hota hai..
Barkhubi fikar ka janam hota hai..
Tera naam muraad banta hai..
Bas ye samay hi suli chadta hai..
Fir in aankhon se raha na jata hai..
Ye aansu bahane lagti hai..
Ye man ka bahav tujhe bachkani lagta
hai..
Us fikar ko tu sirf jarurat batlati
hai..
Mere pyar ko jutha sabit kar jati
hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki
maala..
Mere tutte huye dil par chadayi jaati
hai..
Ye pyar tere dil ki adaalat mein hara
diya jaata hai..
Is tutte huye dil ko mastishak dvara
doshi theraya jaata hai..
Bas vo raat ka andhere hi ab kaam ata
hai..
Ab aansu aankho se na behte hai..
Dil mein baad(flood) utapan hoti
hai..
Sabse pehle mandir hi thikane lagte
hai..
Sache pyar ko bhid mein khoja jata
hai..
Dil ke kisi kone mein mrit(dead) paya
jata hai..
Use usi kone mein dafnaya jata hai..
Kafan ke tor par teri yaad bichayi jaati
hai..
Bta kyun har baar mere ehsaaso ki
maala..
Mere Tutte huye dil par chadayi jaati
hai..
Ab kahani mein koi naya mod na ata
hai..
Har mastmola pyar ki maut par dukh
jatane ata hai..
Tha to sacha par pyar ki kadr na
samjhi jati hai..
Yahi keh kar har koi yaad ko gale se
lagata hai..
Mera kafan bhi atithi bankar us
bethak mein jata hai..
Jaha pyar na karne wale sharifo ka
mela lagta hai..
Jaha pyar ke marne par charcha ki
jaati hai..
Vishya se hat kar har koi pyar ko
jismani or jhutha sabit krna chahta hai..
Kafan ka sabar tut uthata hai..
Vo ekjut bejod lalkaar lagata hai..
KHABARDAAR JO JHUTH KAHI..
BOL O TU HUR PARI..
TUNE KIS DIN PYAR NA SACHA PAYA
THA..?
KIS RAAT KO TUNE USKA DIN BNAYA NA..?
KYA GINA USKI JAAGI RAATO KO..?
YA TOLA KABHI USKE EHSAASO KO..?
ITNE BEDARD HO GAYE TERE HATH..
KI HAR BAAR USKE EHSAASO KI MAALA..
US NIRDOSH TUTTE DIL PAR HI CHADHAYI
JAATI HAI..
SATYAZADA
No comments:
Post a Comment