Tuesday, 24 September 2013

LACHAAR BHARAT MA

Aj Aankhein nam hai Bharat ma ki..
Apne in beto ko dekh..
Sochti hogi ki kyun meine inko janam diya..
Akhir kyun apni betiyon ki zindagi ko tbha hone diya..
Puch rahi thi mujhse mere swapan mein aakar..
Kya SARVESH tujhe or tere yuva bhaiyo ko dukh nhin ho raha..

Apni ma ki aankho mein aanshu dekh mein ro padha..
Aankhein jhuki or apni hi MA ke age sharminda ho gaya..
Apni MA se najare milane ka sahas ab mujhse na ho raha..

Meri is dasha ko dekh..
MA ne mujhe gale se laga liya..
Insaniyat aur sachai ka sath dene ka wada lete hue..
Vo mere swapan se ojhal ho gayi..

Is swapan ke khulte hi mein kalam utha kr beth gaya..
MA ke is dard ko dekh aj ke yuva pr kalam prahar krne ko chla..

Sharam aati h mujhe ki meine ese yug mein janam hai liya..
Jaha ijat na hai ma,bhen,beti ki..
Jaha rishto ko bhulaya jata hai..
Pehle to brun hatya..
Aur ab ye balatkaar..
Us desh mein ye dasha hai ladkiyon ki..
Jaha kanchaka bithaya jata hai..
Kalam thirakti h meri ye likhate hue..
Kyun unke hath na kamp kampaye..

Aj ke yuva ki dasha to shabado mein bya hoti nhin..
Kyunki is dasha ke varnan ko to meri kalam bhi nakarti h..
Ye vahi desh hai jaha kuch bura hone par yuva ke dilo mein aag jhalakti thi..
Aj ke yuva ke to hotho pr cigarette pine ki agg jhalakti hai..
Ye vahi desh hai jaha stri ko puja jata hai..
Par aj ka yuva usi stri ke sath dushkram krne se bilkul nhin ghabrata hai..

Aj ka yuva to bda hi sandigad hai..
Sanskar se jada nashe mein lipt hai..
Apne ma baap ki ijat krna bhul gaya hai..
Ye sab krke apne apko tees maar khan samjhta hai..
Apne ap ko yaaro ka yaar dildaar btata hai..
Sach pucho to iski biradari mein jaanwar bhi nhin ata hai..

Havaniyat krke dusro ki jindagi tbha kar..
Fir ek din apne ap ko dharamik therata hai..
Din br din jhooth ka sath dekar..
Apne apko mitti mein milata hai..
Apne ma baap ki seva krna to dur..
Unke sanskaro ko sans sans par thukrata hai..

Aj ke yuva ko mein kuch sandesh dena chahta hu..
Apne ap se aj rubaru krvana chahta hu..
Jaise jeene ke liye saans lena h jaruri..
Vaise hi jindagi jeene ke liye sanskar hai jaruri..
Jis ma ke kokh se janam liya,pita ki ungli pakad kr chalna sikha..
Unki ijat krna or seva krna hai jaruri..
Ma,bhen,beti jo gehna hai is desh ka..
Unka maan samaan krna tera pram dharam hai..
Is havaniyat ko badal insaniyat mein..
Ek baar sach ko jhooth pr vijay paane to de..
Ek baar risto ko ehmiyat dekar to dekh..
Ek baar insaan bnkar to dekh..
Sach mein tujhe maja ayega..
Ha tujhe jindagi jeene mein maja ayega..

SATYAZADA

Saturday, 21 September 2013

EKANT (LONELINESS)

Laga jaise raat ki tanhai mein bas ek ujala hi na tha..
Irdh girdh jhanka to paya kuch bhi nhin..
Khoja jab dil ki gharayi mein..
Sirf ekant ko paya ek maatr sahara..
Ye ekant mujhe ghere hue tha..
Sawalon ki mala mein puroye ja raha tha..
Har anokhe jawab ki pratiksha mein ekant..
Mujhse jindagi ka mool janana chahta tha..
Mere uttar par jab prashan uthane laga vo..
Mere laachar dil par jaise satya ke baan chalane laga vo..
Ban kar jab vo mera hamdard khada tha..
To kyun ghut ghut kar rone ko dil chah raha tha..
Akhir aansu bhi ekant ne hi ponche..
Fir bhi kyun usi ko kasurdar thehra raha tha..

Aj E-Ekant tujhse picha chudane ki itni hai chah..
Ki insaan rachit chakravyuh mein fasna chahta hu..
Par mein galti ka putla har haar ke baad..
Sirf tujhe hi apna sahara pata hu..
Pehle to ban ke swarthi or dikhawati..
Khushi mein tujhe bhul,gum mein tere sang rota chahta hu..
Dil ke armaan baha kar phir se..
Tujhe hi kasurdar therata hu..

E-Ekant aankhein khuli mein tu hi to mujhe sapne dikhata h..
Tu hi to hai jo mujhe khud se rubaru krvata h..
Tu hi ik lota jisse dil ki khul ke btata hu..
Sab ke chod dene ke bad tere pass hi khincha chla ata hu
Or fir bhi tujhe hi kasurdar therata hu..

Tere bin ek Lekhak ka Lekh Likha nhi jata..
Ek Kavi ki Kavita rachi nhi jati..
Jab tak vo tujhe apne samaksh nhi pata..
Apne hunar  ko samjh nhi pata..
Tu uski soch ko gehra hai karta..
Fir bhi vo tujhko gum rah therata..

Ye ekant kewal kore kagaj par likha shabad nhin..
Ye kahi to tera ant hai insaan..
Kahi hai ye haare ka sahara..

SATYAZADA