Saturday, 21 September 2013

EKANT (LONELINESS)

Laga jaise raat ki tanhai mein bas ek ujala hi na tha..
Irdh girdh jhanka to paya kuch bhi nhin..
Khoja jab dil ki gharayi mein..
Sirf ekant ko paya ek maatr sahara..
Ye ekant mujhe ghere hue tha..
Sawalon ki mala mein puroye ja raha tha..
Har anokhe jawab ki pratiksha mein ekant..
Mujhse jindagi ka mool janana chahta tha..
Mere uttar par jab prashan uthane laga vo..
Mere laachar dil par jaise satya ke baan chalane laga vo..
Ban kar jab vo mera hamdard khada tha..
To kyun ghut ghut kar rone ko dil chah raha tha..
Akhir aansu bhi ekant ne hi ponche..
Fir bhi kyun usi ko kasurdar thehra raha tha..

Aj E-Ekant tujhse picha chudane ki itni hai chah..
Ki insaan rachit chakravyuh mein fasna chahta hu..
Par mein galti ka putla har haar ke baad..
Sirf tujhe hi apna sahara pata hu..
Pehle to ban ke swarthi or dikhawati..
Khushi mein tujhe bhul,gum mein tere sang rota chahta hu..
Dil ke armaan baha kar phir se..
Tujhe hi kasurdar therata hu..

E-Ekant aankhein khuli mein tu hi to mujhe sapne dikhata h..
Tu hi to hai jo mujhe khud se rubaru krvata h..
Tu hi ik lota jisse dil ki khul ke btata hu..
Sab ke chod dene ke bad tere pass hi khincha chla ata hu
Or fir bhi tujhe hi kasurdar therata hu..

Tere bin ek Lekhak ka Lekh Likha nhi jata..
Ek Kavi ki Kavita rachi nhi jati..
Jab tak vo tujhe apne samaksh nhi pata..
Apne hunar  ko samjh nhi pata..
Tu uski soch ko gehra hai karta..
Fir bhi vo tujhko gum rah therata..

Ye ekant kewal kore kagaj par likha shabad nhin..
Ye kahi to tera ant hai insaan..
Kahi hai ye haare ka sahara..

SATYAZADA

No comments:

Post a Comment